bahut mushkil sahi lekin ba-sad mushkil bhi dekhenge

bahut mushkil sahi lekin ba-sad mushkil bhi dekhenge
ki anwar-e-haqiqat taliban-e-dil bhi dekhenge

khuda taufiq de hum ko to dil ko dil bhi dekhenge
inhin aankhon se hum aasan har mushkil bhi dekhenge

na kaamil zauq-e-nazara na shauq-e-jada-paimai
agar kaamil talab hai to mazaq-e-dil bhi dekhenge

wo kashti aaj jo takra rahi hai mauj-e-tufan se
usi kashti ko hum ek din sar-e-sahil bhi dekhenge

dar-e-haidar pe 'qaisar' sar jhuka kisra ka qaisar ka
gada-e-ku-e-haidar husn-e-mustaqbil bhi dekhenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close