purane par naya chehra zaruri hai mukhauta kyon nahin badla zaruri hai sahi ko bas sahi kahna nahin kafi ghalat ko bhi ghalat kahna zaruri hai mujhe us se use mujh se nahin kuchh bhi yahan par kuchh na kuchh hona zaruri hai are mana tere abba ko bhaya hai magar ladka sahi ho kya zaruri hai mere hathon likha ye khat use dena use jab do use kahna zaruri hai mujhe jab thi zarurat tab kahan tha tu mujhe ab mat bata tu kya zaruri hai 'daraaz' achchha hai ek shair chalo mana to kya insan bhi ho achchha zaruri hai