bahut qarib hai dil ke magar nahin milti

bahut qarib hai dil ke magar nahin milti
hamein pasand hai jo shai idhar nahin milti

chaman mein phul mein gulshan mein har nazare mein
talash us ko main karta hun par nahin milti

wo dekho aaya hai qasid bhi baad muddat ke
khabar ye laya ki koi khabar nahin milti

na jaane kitni hi rahen talash kar baithe
tumhaare ishq ki koi dagar nahin milti

farebi-rah pe chal kar na dhund manzil ko
jo mil bhi jae agar mo'atabar nahin milti

gham-e-firaq ki ghurbat se be-khabar rahte
hamein ye ishq ki daulat agar nahin milti

main sochta hun ghanimat thi zindagi apni
ai kash un se hamari nazar nahin milti

andheri raat ko us ki tu be-sabab na samajh
sahar ke baad ziya-e-qamar nahin milti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close