dam dekhe na nam dekha hai hum ne bas apna kaam dekha hai shahr ka shahr ban gaya jangal aap ka intizam dekha hai jo ba-zahir nazar nahin aata hum ne wo qatl-e-am dekha hai gardish-e-subh-o-sham kya dekhen us ka tarz-e-khiram dekha hai zahmat-e-rahnumai mat kije hum ne apna maqam dekha hai us ne dekha hai kab meri jaanib az-rah-e-intiqam dekha hai tum ne dekha nahin hai 'yunus' ko tair-e-zer-e-dam dekha hai