bahut raaz hain zindagi se bhi aage maqam aur nahin dosti se bhi aage maren to milen zindagi ke ishaare magar maut phir zindagi se bhi aage bahut dur tak dab chale raushni mein andhere mile raushni se bhi aage na apna pata hai na un ki khabar hai kahan aa gae be-khudi se bhi aage na ehsas-e-malik na ehsas-e-khidmat maqam aa gaya bandagi se bhi aage nazar jam gai ru-e-taban pe aakhir hai kuchh aur nazzargi se bhi aage ibaadat ke lakhon tariqe hain lekin hua ne koi zindagi se bhi aage koi dewta ho koi ho farishta chala ne koi aadmi se bhi aage hua saf dil to ye aawaz aai gaya 'shauq' ab rasti se bhi aage gham-e-zindagi mein sukun mil gaya hai nikal aae dil ki lagi se bhi aage