do aankhon se kam se kam ek manzar mein dekhun rang-o-nur baham ek manzar mein apni khoj mein sargardan be-samt hujum tanhai deti hai janam ek manzar mein titli ko rukhsar pe baitha chhod aae hairat ko darkar the hum ek manzar mein lamha lamha bharte jaen khauf ka rang gahri sham aur tez qadam ek manzar mein ghat mein baitha koi danish-war mujh ko gar deta hai roz raqam ek manzar mein ab jo apna saya dhundhta phirta hai ja nikle the bhul ke hum ek manzar mein