bahut sataya hai mujh ko zara si ja ke liye aur is pe zindagi ne dam bhi daba ke liye main jaane ko kahan kahta par in ghamon se kaho zara sa rasta to chhod den hawa ke liye tadap raha hai kai roz se dil-e-bimar do bol chahiye the aap se dawa ke liye main zindagi teri kit kit se tang aa gaya hun tu apna munh to zara band rakh khuda ke liye tere jawab ne sakit hi kar diya hai mujhe zaban khulti na hath uthte hain dua ke liye