dar khol ke mat jhankna hamdam mere andar uth jata hai aahat pe bhi matam mere andar gunje hain abhi tak kisi maqtul ki chikhen qaem hai abhi khauf ka aalam mere andar main zad mein fasadon ki ek aaya hua ghar hun har chiz hai ab darham-o-barham mere andar ab koi khushi mujh mein panapti hi nahin hai aaseb ki surat hai tera gham mere andar main hijr ka mara hun so hota hai har ek sham suraj ki judai pe bhi matam mere andar