bahut se raston mein tu ne jo rasta chuna tha farishte aaj tak hairat mein hain kaisa chuna tha bahut se shahr rahne ke liye hazir the lekin hamesha zinda rahne ke liye sahra chuna tha jo pichhe aa rahe the un se tu ghafil nahin tha ki tu ne raste ka ek ek kanta chuna tha jahan mein kaun tha dosh-e-nabi jis ka tha murkkab isi khatir barhana-pai ne tujh sa chuna tha zamana jaanta hai kaun tha jo par utra ki tu ne pyas aur darbar ne dariya chuna tha