bahut se zakhm jin ko mustaqil mehman rakkha hai badan ki qaid mein kuchh dard ka saman rakkha hai kabhi lagta hai ki main aasman ko chhu ke aai hun kabhi lagta hai raste mein koi tufan rakha hai har ek lamha guman ki dastaras mein kya bataen hum kahan ummid rakkhi hai kahan iman rakkha hai tumhaari aankh mein thahra hua pani batata hai mohabbat ki thi tum ne aur us ka man rakkha hai mere aaba ke ghar ko bech kar mujh se wo kahta hai wahin kamra pada hai aur wahin dalan rakkha hai hamari himmaton ki dad de kar laut jaega hamare samne jis gham ne sina tan rakkha hai