aawaz ke saudagaron mein itni fankari to hai sher-o-adab ke nam hi par garm-bazari to hai koi kahe koi sune koi likhe koi padhe har dil ko bahlae ghazal bik jae bechaari to hai kawwon ke aage gung hain kya tutiyan ki bulbulen ahl-e-chaman hain mutmain rasm-e-sukhan jari to hai mana zamin-e-karbala par dastaras mumkin nahin lekin sar-e-kufa yazidon ki amal-dari to hai in shairon mein ek do shaer bhi hain mahfil-zada sad-afrin in theka-daron mein rawa-dari to hai kis ne kaha 'azim' khushamad ji-huzuri aib hai rah-e-talab hamwar karne ki kala-kari to hai