bahut thakan badan mein mere safar ki rahi

bahut thakan badan mein mere safar ki rahi
magar wo shauq ki manzil ki har nagar ki rahi

wo jis pe chal ke sada panw zakhm zakhm hue
na jaane khoj hamein kyon usi dagar ki rahi

jo meri zat ki pinhaiyan samajh leti
tamam umr zarurat usi nazar ki rahi

jab apne aap mein dube falak ko chhu aae
ki ehtiyaj hamein ab na baal-o-par ki rahi

hamin se sunnat-e-mansur ab bhi zinda hai
ki har zamane ko hajat hamare sar ki rahi

bila-sabab to 'karamat' pe apni naz nahin
ki chaar-dang mein shohrat mere asar ki rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close