bahut udas hai mah-e-tamam kis ke liye ruki hui hai munderon pe sham kis ke liye bhula ke khud ko chalo gahri nind sote hain agar karen bhi to ninden haram kis ke liye ki is dayar mein kaun aaya hai jo aaega hamein batao ki ye ehtimam kis ke liye unhen bhi kash kisi roz ye pata to chale bane hain shauq se hum bhi ghulam kis ke liye wo koi aur nahin hai to ek baat bata chhalak rahe hain nigahon ke jam kis ke liye