ab to ek pal ke liye bhi na ganwaenge tumhein khud ko haarenge magar jit ke laenge tumhein hum ko patthar ke pighalne ka amal dekhna hai dubte dubte aawaz lagaenge tumhein dil pe ek bojh hai kuchh soch ke dar lagta hai qissa-e-dard kabhi aur sunaenge tumhein zahiri aankhen hamein dhundh kahan paengi chashm-e-baatin se jo dekho nazar aaenge tumhein hain abhi pas bahut pas magar sach kahna dur ho jaen to kya yaad na aaenge tumhein