bahut ukta gaya jab shairi se

bahut ukta gaya jab shairi se
lipat kar ro pada main zindagi se

abhi kuchh dur hai shamshan lekin
badan se rakh jhadti hai abhi se

use bhi zabt kahna thik hoga
bahut chikha hun main par khamushi se

bas us ke baad hi mithi nadi hai
kaha aawargi ne tishnagi se

laga hai sochne thoda tu munsif
mere haq mein tumhaari pairwi se

mayassar ho gain shaklen hazaron
hua ye faeda be-chehragi se

suno wo daur bhi aaega 'kanha'
takega husn jab bechaargi se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close