jawan tha dil na tha andesha-e-sud-o-ziyan pahle wo the kya mehrban sara jahan tha mehrban pahle wo mir-e-karwan bhi ik-na-ik din ho ke rahte hain jinhon ne muddaton chhani hai khak-e-karwan pahle khudi jagi uthe parde ujagar ho gain rahen nazar kotah thi tarik tha sara jahan pahle wahi barq-e-tajalli shama hai mere shabistan ki na la sakti thi jis ki tab shakh-e-ashiyan pahle hun ab bhi pa-ba-gil taham bahut parwaz ki main ne wo ab meri zamin hai tha jo mera aasman pahle nihan thin dar-ba-dar ki thokaron mein azmaten 'jami' na tha is darja aali tera andaz-e-bayan pahle