bair duniya se qabile se ladai lete ek sach ke liye kis kis se burai lete aable apne hi angaron ke taza hain abhi log kyun aag hatheli pe parai lete barf ki tarah december ka safar hota hai hum use sath na lete to razai lete kitna manus sa ham-dardon ka ye dard raha ishq kuchh rog nahin tha jo dawai lete chand raaton mein hamein dasta hai din mein suraj sharm aati hai andheron se kamai lete tum ne jo tod diye khwab hum un ke badle koi qimat kabhi lete to khudai lete