chashm-e-nam pahle shafaq ban ke sanwarna chahe aur phir ret ke daman pe bikharna chahe ajab insan hai wo sehr ye karna chahe aankh se dekho agar dil mein utarna chahe kuchh ajab us se talluq hai ki us ki har baat mauj-e-khun ban ke mere sar se guzarna chahe sara din dhup ke sahra mein rahe sargardan sham hote hi samundar mein utarna chahe khud rahe tan-o-malamat ka hadaf us pe kabhi apni ruswai ka ilzam na dharna chahe aaina jaan ka mukaddar sahi lekin 'shahin' dil ki taswir to aankhon mein utarna chahe