baith ja kar sar-e-mimbar waiz ho gaya tu to mere sar waiz mai to jaez nahin ye jaez hai roz khata hai mera sar waiz band karta hai dar-e-tauba kyun khol kar waz ka daftar waiz waizon ki main karun kya tarif ghar mein mai-khwar hain bahar waiz mai-kashon hi ke liye hai ye baat jo hai dil mein wahi lab par waiz dekh kis rang se utthi hai ghata tah kar ab waz ka daftar waiz kis tarah pite hain pine wale dekh lena lab-e-kausar waiz maut bhi aati hai to hile se aa gaya rindon mein kyunkar waiz sakhtiyan rindon pe karte karte aql par pad gae patthar waiz aatish-e-tar ka jo pad jae maza phunk de waz ka daftar waiz rind aape se jo bahar hain to hon tu na ho jame se bahar waiz shisha-e-dil ka khuda hafiz hai teri har baat hai patthar waiz zikr-e-mai waz mein jab aata hai jhumta hai sar-e-mimbar waiz le ke aankhon se lagata saghar padh jo leta khat-e-saghar waiz mahfil-e-waz mein kyun jaun 'jalil' hain mujhe shisha-o-saghar waiz