waqt gardish mein ba-andaz-e-digar hai ki jo tha tan mein jaan hai ki jo thi dosh pe sar hai ki jo tha qafile lutte gae bujhte gae dil lekin ek hangama sar-e-rahguzar hai ki jo tha tesha-e-fikr wahi nashtar-e-ehsas wahi zakhm-e-sar hai ki jo tha zakhm-e-jigar hai ki jo tha sath qadmon ke laga chalta hai apna saya wahi hum hain wahi sahra-e-safar hai ki jo tha aadmi apne khayalon ka sulagta paikar khud-nigar hai ki jo tha khak-basar hai ki jo tha aankh walon ne to har mod pe badle andaz ek apna wahi andaz-e-nazar hai ki jo tha aag jangal ki bujhae ye padi hai kis ko wusat-e-jaan mein wahi raqs-e-sharar hai ki jo tha aql ye teri hi punji hai samajh ya na samajh dil ek ujda hua jalta hua ghar hai ki jo tha puchhne aae hain bichhde hue lamhe 'hurmat' kya wahi silsila-e-sham-o-sahar hai ki jo tha