baith jata hai wo jab mahfil mein aa ke samne main hi bas hota hun us ki is ada ke samne tez thi itni ki sara shahr suna kar gai der tak baitha raha main us hawa ke samne raat ek ujde makan par ja ke jab aawaz di gunj utthe baam-o-dar meri sada ke samne wo rangila hath mere dil pe aur us ki mahak sham-e-dil bujh si gai rang-e-hina ke samne main to us ko dekhte hi jaise patthar ho gaya baat tak munh se na nikli bewafa ke samne yaad bhi hain ai 'munir' us sham ki tanhaiyan ek maidan ek darakht aur tu khuda ke samne