shakh pe chidiya gati hai jo kuchh hai lamhati hai palken bhigi rahti hain dil ki faza jazbaati hai baat karun ya sher kahun ek si khushbu aati hai shahr mein hun aur tanha hun rang mera qasbaati hai fikr hai mujh ko apni hi gham bhi mera zati hai hukm na do bedari ka nind hi kis ko aati hai lams-e-ana par itna naz khushbu hai ud jati hai shama ki surat qismat bhi jalte hi bujh jati hai qaid-e-qafas mein ab 'nazir' ruh bahut ghabraati hai