baiTha hun apni zat ka naqsha nikal ke

baitha hun apni zat ka naqsha nikal ke
ek be-zamin haari hun sahra nikal ke

dhunda bahut magar koi rasta nahin mila
is zindagi se tera hawala nikal ke

almari se mile mujhe pahle pahal ke khat
baitha hua hun aap ka wada nikal ke

viraniyon pe aankh chhama-chham baras padi
laya hun main to dasht se dariya nikal ke

aasaniyan hi sochte rahte hain yar log
uqba nikal kar kabhi duniya nikal ke

hum raftagan se hat ke bhi dekhen to sher mein
mauzua kam hi bachte hain nauha nikal ke

milna kahan tha sahal dar-e-agahi mujhe
aaya hun main pahad se rasta nikal ke

waiz nihaal aaj khushi se hai kis qadar
ek taza ikhtilaf ka nukta nikal ke

munim ko us niwale ki lazzat ka kya pata
mazdur jo kamae pasina nikal ke

haalat kya gharib ke badle ki har koi
le aaya hai qarib ka rishta nikal ke

'jazib' kahan khabar thi ki hai baz tak mein
hum shad the qafas se parinda nikal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close