baitha hun siyah-bakht o mukaddar isi ghar mein utra tha mera mah-e-munawwar isi ghar mein ai sans ki khushbu lab-o-ariz ke pasine khola tha mere dost ne bistar isi ghar mein chatki thin isi kunj mein us hont ki kaliyan mahke the wo auqat-e-mayassar isi ghar mein afsana-dar-afsana thi mudti hui sidhi ashaar-dar-ashaar tha har dar isi ghar mein hoti thi harifana bhi har baat pe ek baat rahti thi raqibana bhi aksar isi ghar mein sharminda hua tha yahin pindar-e-imarat chamka tha faqiron ka muqaddar isi ghar mein wo jin ke dar-e-naz pe jhukta tha zamana aate the badi dur se chal kar isi ghar mein