dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki

dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki
aur daman-e-qatil ki hawa aur tarah ki

diwar pe likkhi hui tahrir hai kuchh aur
deti hai khabar khalq-e-khuda aur tarah ki

kis dam uthaenge kharidar ki is bar
bazar mein hai jins-e-wafa aur tarah ki

bas aur koi din ki zara waqt thahar jae
sahraon se aaegi sada aur tarah ki

hum ku-e-malamat se nikal aae to hum ko
ras aai na phir aab-o-hawa aur tarah ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close