baithe baithe jo tabiat meri ghabrai hai aur shiddat se mujhe yaad teri aai hai is se bichhdungi to zinda nahin rah paungi meri munis meri hamraaz ye tanhai hai justuju ab hai masarrat ki na to gham ki talash be-hisi mujh ko kahan le ke chali aai hai dub kar un mein na ubhra hai na ubhrega koi jhil si aankhon mein patal si gahrai hai mujh mein har samt ziya-bar hain un ki yaaden chandni aaj mere dil mein utar aai hai mujh se wo rah mein katra ke nikal jaane lage main ne bhi un se na milne ki qasam khai hai shab-e-afsana munawwar hai na ab sham-e-ghazal anjuman hai na kahin anjuman-arai hai