istada hai jab samne diwar kahun kya hasil bhi nahin rauzan-e-darkar kahun kya lagta to hai kuchh did ko na-did ke pichhe khulta nahin manzar koi us par kahun kya hun tang zara jeb se ai hasrat-e-ashya shamil to hai fahrist mein bazar kahun kya jis baat ke inkar ka had-darja guman hai wo baat yaqin ke liye sau bar kahun kya main un ke jawabaat se aur ahl-e-zamana hain mere sawalat se bezar kahun kya jis baat pe thi bahs hui bahs se kharij ab rah gai aapas mein hai takrar kahun kya ham-sae ki ham-sae se pahchan nahin hai paiwast hai diwar mein diwar kahun kya ghafil nahin aisa bhi main ab apni rasad se is dil mein talab ka hai jo ambar kahun kya gulzar sa khil uthta hai khushbu-e-sukhan se jadu hai wo is ka dam-e-guftar kahun kya hai rang badan ka lughat-e-rang mein napaid la-sani hai qamat mein qad-e-yar kahun kya