baithe baithe pareshaniyan badh gain dil lagaya to tanhaiyan badh gain pal-do-pal ki mulaqat se kya mila aur bhi dil ki betabiyan badh gain tum ko takne ka ek faeda ye hua meri aankhon ki binaiyan badh gain ek kali bagh mein phul kya ban gai bhanwre aane lage titliyan badh gain apni aulad jab aa gai darmiyan bhai ki bhai se duriyan badh gain bas yahi soch kar dar raha hun main 'raaz' kyon azizon ki hamdardiyan badh gain