baithe bithae aaj phir kis ka khayal aa gaya chehre ka rang ud gaya rang-e-malal aa gaya uljhan mein pad gaya hun main dil ka karun to kya karun shisha nahin ye kaam ka is mein to baal aa gaya pura na kar sakunga ab tujh se kabhi mukalima aankhen thin mahw-e-guftugu dil ka sawal aa gaya karni hai tark jis jagah teri talash-o-arzu sahra mein ab maqam wo mere ghazal aa gaya rui ki tarah shahr mein udne lagi hai ye khabar us ko hi bas pata nahin us ka zawal aa gaya main ne to apna aaina rakkha tha us ke ru-ba-ru itni si ek baat thi us ko jalal aa gaya