dariya jo chadha hai wo utarne nahin dena ye lamha-e-maujud guzarne nahin dena duniya hi nahin dil ko bhi is shahr-e-hawas mein man-mani kisi haal mein karne nahin dena mahsus nahin hogi masiha ki zarurat ye zakhm hi aisa hai ki bharne nahin dena mushkil hai magar kaam ye karna hi padega insan ko insan se darne nahin dena jis khwab mein ru-posh ho jine ki tamanna wo khwab-e-dil-awez bikharne nahin dena gar dil ko jala kar bhi dhuan karna pade to in paudon ko kohre mein thithurne nahin dena