baithe hain ab to hum bhi bologe tum na jab tak dekhen to aap hum se na-khush rahenge kab tak iqrar tha sahar ka aisa hua sabab kya jo sham hone aai aur wo na aaya ab tak mahfil mein gul-rukhon ke aaya jo wo pari-ru ho shakl-e-hairat us ki surat rahe wo sab tak bosa 'nazir' hum ko dene kaha tha us ne hum waqt pa ke jis dam lene ki pahunche dhab tak har chand tha nashe mein wo shokh to bhi us ne hargiz hamare lab ko aane diya na lab tak