ishq un sab se alag sab se juda hota hai chikhne rone tadap lene se kya hota hai yaad aata hai gale mil ke tera pachhtana har nai id mein ye ranj naya hota hai jo bhala karta hai allah ke bandon ke liye ghaib se us ka bhi har kaam bhala hota hai guft-o-gu mein ye nazakat hai ki allah allah ek ek harf bhi mushkil se ada hota hai qahr hota hai hasinon mein jo hota hai matin shokh hota hai jo un mein wo bala hota hai jine deti hai kise pyar ki surat kafir dost to dost hai dushman bhi fida hota hai tazkire husn ke sun husn ka dil-dada na ban baz baaton ke to sunne mein maza hota hai mah-jabin id mein angusht-numa kyun na rahen id ka chand hi angusht-numa hota hai phabtiyan ghair pe kasne ko hai maujud safi' aur us pe kabhi hansiye to khafa hota hai