baithe hain gulsitan mein himmat ko haar ke un se sulajh sakenge na gesu bahaar ke waraftagi-e-shauq ka aalam to dekhiye baitha hua hun bazm-e-tamanna sanwar ke rag rag mein maujzan hai meri kaif-e-iztirab o yaad aane wale shab-e-intizar ke nairangi-e-junun ke karishme to dekhiye saman ho rahe hain qafas mein bahaar ke aaghosh-e-inqalab mein palti rahi hayat ehsan hain ye gardish-e-lail-o-nahaar ke ahl-e-chaman chaman ki fazaon se hoshiyar pahre jagah jagah pe hain barq-o-sharar ke tanzim-e-hadsat ka naqsha badal diya nazm-e-jahan ki zulf-e-pareshan sanwar ke ghaflat-shiar-e-waqt na bedar ho sake khamosh ho gaya hai zamana pukar ke badhta hai gham ki samt masarrat se ai 'kamal' allah re hausle dil-e-ummid-war ke