chaman mein koi kali jab bhi muskuraati hai mujhe kisi ke tabassum ki yaad aati hai hamari tira-shabi is sahar se kya mange jo dusron se ujalon ki bhik pati hai chaman mein dekh ke phulon ki chaak-damani bahaar apne lahu mein nahae jati hai gawah hain ye shab-e-gham ke dubte tare kisi ki yaad mein mushkil se nind aati hai isi bahaar par itra rahe hain ahl-e-chaman nae nae jo gulistan mein gul khilati hai hum aisi naw ke hain nakhuda muqaddar se bhanwar se bach ke jo sahil pe dub jati hai fareb dene gulistan ke zimma-daron ko libas-e-waqt badal ke bahaar aati hai sahar ko hogi ye mahfil na daur-e-jam-o-subu 'kamal' hosh mein aao ki raat jati hai