baithe hain id ko sab yar baghal mein le kar baithen hum kya dil-e-bimar baghal mein le kar kushta-e-naz faqat is pe hain nazan ji mein ki nikalta hai wo talwar baghal mein le kar roe hum us ki tamanna-e-ham-goshi mein dil-e-mayus ko na-chaar baghal mein le kar bad-gumani se hamein baithte uthte hai ye soch baithe honge use aghyar baghal mein le kar mai-e-ulfat ki tarang aai to aaya dauda shisha-e-mai ko wo mai-khwar baghal mein le kar ku-ba-ku khana-nashini ka ho us ki charcha baithe jo tujh sa trahdar baghal mein le kar shab-e-tanhai mein so rahte hain mushtaq tere ba-tasawwur tujhe har bar baghal mein le kar sun ke hum mahw-e-chaman us ko 'ghazanfar' aae dil-e-pur-dagh se gulzar baghal mein le kar