be-chehragi-e-umr-e-khajalat bhi bahut hai is dasht mein gardab ki surat bhi bahut hai aankhen jo liye phirta hun ai khwab-e-musalsal! mere liye ye kar-e-aziyyat bhi bahut hai tum zad-e-safar itna uthaoge kahan tak asbab mein ek ranj-e-masafat bhi bahut hai do sans bhi ho jaen baham habs-e-badan mein ai umr-e-rawan! itni karamat bhi bahut hai kuchh ujrat-e-hasti bhi nahin apne mutabiq kuchh kar-e-tanaffus mein mashaqqat bhi bahut hai ab maut mujhe mar ke kya degi 'ghazanfar' aankhon ko to ye aalam-e-hairat bhi bahut hai