baiThe hain jahan saqi paimana-e-zar le kar

baithe hain jahan saqi paimana-e-zar le kar
us bazm se uth aae hum dida-e-tar le kar

yaadon se teri raushan mehrab-e-shab-e-hijran
dhundhenge tujhe kab tak qindil-e-qamar le kar

kya husn hai duniya mein kya lutf hai jine mein
dekhe to koi mera andaz-e-nazar le kar

hoti hai zamane mein kis tarah pazirai
niklo to zara ghar se ek zauq-e-safar le kar

rahen chamak utthengi khurshid ki mashal se
hamrah saba hogi khushbu-e-sahar le kar

makhmal si bichha denge qadmon ke tale sahil
dariya ubal aaenge sad-mauj-e-guhar le kar

pahnaenge taj apna pedon ke ghane sae
niklenge shajar apne khush-rang samar le kar

lapkenge gale milne sarw aur sanobar sab
uthenge gulistan bhi shakh-e-gul-e-tar le kar

hanste hue shahron ki aawaz bulaegi
lab jam ke chamkenge sau shoala-e-tar le kar

aflak bajaenge saz apne sitaron ka
gaenge bahut lamhe anfas-e-sharar le kar

ye aalam-e-khaki ek sayyara-e-raushan hai
aflak se takra do taqdir-e-bashar le kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close