baiThe hain wo khinche hue mujh KHasta-tan ke pas

baithe hain wo khinche hue mujh khasta-tan ke pas
rahte bhi hain to rahte hain shamshir ban ke pas

us but ke sath yun meri taswir khinch do
sine ke pas sina dahan ho dahan ke pas

hum ko dua do bandh diya hai girah mein dil
rakkha hi kya tha zulf-e-shikan-dar-shikan ke pas

lipti rahi gale se teri tegh hijr mein
qismat se umr kat gai banki dulhan ke pas

dil mein hazar tir jigar mein hazar zakhm
kante khade hue hain hamare chaman ke pas

bose wo khak dega ki dene ke nam se
mutthi mein qaul tak nahin paiman-shikan ke pas

shirin ki yaad hijr mein hai uzr-e-khud-kushi
mithi chhuri thi tesha na tha kohkan ke pas

hasrat se kah raha hai lab-e-gor-e-kushtagan
mar mar ke pahunche hain ye musafir watan ke pas

kya din the wo ki hote the har roz ratjage
soya hun muddaton but-e-nazuk-badan ke pas

dil ke phapole phute to ubhre jigar ke zakhm
jannat lagi rahi mere bait-ul-huzan ke pas

phirti rahengi dilli ki galiyan nigah mein
'rasikh' bahisht mein bhi rahunga watan ke pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close