baiThe rahenge wo to hamesha daba ke baat

baithe rahenge wo to hamesha daba ke baat
hum hi karenge un se kisi roz ja ke baat

kuchh bhi nikal sakte hain matlab wo baat ka
karta hun is liye main bahut bach-bacha ke baat

pechida ho gae hain hamare talluqat
karni padi hai mujh ko ghuma ke phira ke baat

ek hum ki le ke baith gae ek lafz ko
ek wo ki chal diye jo hansi mein uda ke baat

kahta hun dil ki baat ghata kar raqib se
karta hai wo jo aage badha ke chadha ke baat

wo jo bani hui hai rukawat si darmiyan
milna ho ab hamein to milen wo hata ke baat

matlub waizon ko hain shayad hamare ashk
hansne ki bhi wo karte hain aksar rula ke baat

'basir' bayan-e-sada ko paya hai be-asar
kije zara sanwar ke qadre bana ke baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close