baj rahi thin dur kuchh shahnaiyan kal raat ko

baj rahi thin dur kuchh shahnaiyan kal raat ko
karwaten leti rahin angdaiyan kal raat ko

aarzu ka ek samundar chikhta hi rah gaya
dil ke sahil pe thin bas khamoshiyan kal raat ko

tirgi ka dard sannaton ki aahat karb-e-hijr
sath apne lai thin khamoshiyan kal raat ko

shor-o-ghul mein khud ko dafna kar rakha tha din tamam
barf sa pighla gain tanhaiyan kal raat ko

us se milna tang kuche mein bada mahnga pada
umr bhar ki de gaya ruswaiyan kal raat ko

us ki ye tabir hai daman mein hai sahil ki ret
nind mein thin khwab ki gahraiyan kal raat ko

har taraf thi ek udasi chand tha na chandni
khwab odhe so rahi thin badliyan kal raat ko

thak ke mere sath aakhir so gain pichhle pahar
bhini bhini yaad ki parchhaiyan kal raat ko

khamushi rakhti rahi chun chun ke palkon par mere
yaad ki bikhri hui kuchh kirchiyan kal raat ko

nind kya aati ki bistar ban chuka tha khar-zar
thapkiyan deti rahi thin talkhiyan kal raat ko

mogre ki narm nazuk pattiyan tere baghair
silwaton par khar ki thin tahniyan kal raat ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close