koi fitna koi fusun bhi nahin zindagi hai ki pur-sukun bhi nahin ghar mein sahra mein imtiyaz to kar ab to hangama-e-junun bhi nahin kal talak tha jo sath sath mere ab wo ek lamha-e-sukun bhi nahin hosh jab de raha ho dars-e-wafa kya karun main jo chup rahun bhi nahin kya sitam hai ki aaj-kal main 'rasa' kuchh kahun bhi nahin sunun bhi nahin