baja hai hum zarurat se ziyaada chahte hain magar ye dekh sab kuchh be-irada chahte hain bahut dil-tang hain gunjaish-e-maujud se hum rah-e-imkan kushada se kushada chahte hain purani hai numu-asar hai phir bhi ye mitti badan se aur abhi kuchh istifada chahte hain sawar aate nahin hain laut kar jin ghatiyon se safar is khunt ka ek pa-pyaada chahte hain bahut be-zar hain ashrafiya ki rahbari se koi insan koi khak-zada chahte hain koi izhaar aamada hai dil ki dhadkanon mein hum us ke waste ek lahan-e-sada chahte hain jo ho maqbul us ki bargah-e-haq-ada mein wo ek lamha 'riyaz' aadhe se aadha chahte hain