ajab ajib gham-e-ehtimal rakhte hue kisi ka khwab kisi ka khayal rakhte hue ana bhi koh-e-giran ki tarah hai phir darpesh tere huzur talab ka sawal rakhte hue koi khazina-e-rahat na apne kaam aaya daraaz-e-dil mein zara sa malal rakhte hue main aaftab hun lekin ek e'timad ke sath chamak rahi hun main ranj-e-zawal rakhte hue tamam umr to rakhni nahin ye ranjish-e-dil ye soch leta wo shishe mein baal rakhte hue