baja irshad farmaya gaya hai ki mujh ko yaad farmaya gaya hai inayat ki hain na-mumkin umiden karam ijad farmaya gaya hai hain ab hum aur zad hai hadson ki hamein aazad farmaya gaya hai zara us ki pur-ahwali to dekhen jise barbaad farmaya gaya hai nasim-e-sabzgi the hum so hum ko ghubar-uftad farmaya gaya hai mubarak fal-e-nek ai khusraw-e-shahr mujhe farhad farmaya gaya hai sanad bakhshi hai ishq-e-be-gharaz ki bahut hi shad farmaya gaya hai saliqe ko lab-e-fariyaad tere ada ki dad farmaya gaya hai kahan hum aur kahan husn-e-sar-e-baam hamein buniyaad farmaya gaya hai
Please share if you liked this!!!