baja ye raunaq-e-mahfil magar kahan hain wo log yahan jo ahl-e-mohabbat ke ja-nashin honge kahan se aaj meri ruh mein chamak utthe wo tere dukh jo tujhe yaad bhi nahin honge zamana garm-e-safar hai kahin to paega wo dil jo mehr-o-mohabbat ki sarzamin honge main kar raha hun teri chashm-e-nam se andaza ki aane wale zamane bahut hasin honge 'salim' ghar se nikal kar na jao sahra mein hawa ke rag bahut dard-afrin honge