khayal-e-nawak-e-mizhgan mein bas hum sar patakte hain hamare dil mein muddat se ye khar-e-gham khatakte hain rukh-e-raushan pe us ki gesu-e-shab-gun latakte hain qayamat hai musafir rasta din ko bhatakte hain fughan karti hai bulbul yaad mein gar gul ke ai gulchin sada ek aah ki aati hai jab ghunche chatakte hain riha karta nahin sayyaad hum ko mausam-e-gul mein qafas mein dam jo ghabraata hai sar de de patakte hain uda dunga 'rasa' main dhajjiyan daman-e-sahra ki abas khar-e-bayaban mere daman se atakte hain