bajae ham-safri itna rabta hai bahut ki mere haq mein teri be-zarar dua hai bahut thi panw mein koi zanjir bach gae warna ram-e-hawa ka tamasha yahan raha hai bahut ye mod kat ke manzil ka aks dekhoge isi jagah magar imkan-e-hadsa hai bahut bas ek chikh hi yun to hamein ada kar de muamla hunar-e-harf ka juda hai bahut meri khushi ka wo kya kya khayal rakhta hai ki jaise meri tabiat se aashna hai bahut tamam umr jinhen hum ne tut kar chaha hamare hathon unhin par sitam hua hai bahut zara chhua tha ki bas ped aa gira mujh par kahan khabar thi ki andar se khokhla hai bahut koi khada hai meri tarah bhid mein tanha nazar bacha ke meri samt dekhta hai bahut ye ehtiyat-kada hai kade usulon ka zara se naqs pe 'bani' yahan saza hai bahut