us ko mujh se rutha diya kis ne mere dil ko dukha diya kis ne dam-e-kakul dikha diya kis ne murgh-e-dil ko phansa diya kis ne kham-e-abru dikha diya kis ne kaba-e-dil gira diya kis ne ai falak hum to baithe hanste the uthte uthte rula diya kis ne aaine mein dikha ke teri shakl tujh ko hairan bana diya kis ne ek qalam harf-e-dosti bhula hae us ko padha diya kis ne main gaya us ke ghar to kahne laga ghar hamara bata diya kis ne nahin malum shauq-e-qatl mein kuchh sar hamara uda diya kis ne na samae kisi ki aankhon mein nazron se yun gira diya kis ne mangte hi gunahgar hue us se bosa liya diya kis ne kal talak dost tha wo 'goya' ka aaj dushman bana diya kis ne