bakhsh de kuchh to e'tibar mujhe pyar se dekh chashm-e-yar mujhe raat bhi chand bhi samundar bhi mil gae kitne gham-gusar mujhe raushni aur kuchh badha jaun soz-e-gham aur bhi nikhaar mujhe kuchh hi din mein bahaar aa jati aur karna tha intizar mujhe dekh duniya ye paintare na badal dekh shishe mein mat utar mujhe aaine mein nazar nahin aata apna chehra kabhi-kabhaar mujhe kis qadar shokh ho ke takta tha raat band-e-qaba-e-yar mujhe dekh main saat-e-masarrat hun itni ujlat se mat guzar mujhe markab-e-khak par sawar hun main dekh ai shahr-e-zar-nigar mujhe rizq-e-maqsum kha ke jina tha kha gai fikr-e-rozgar mujhe