chupke se qarib aana phir dur nikal jaana har pal ka muqaddar hai mazi mein badal jaana kar kar ke teri baaten padh padh ke tera chehra har sinf-e-sukhan sikhi har rang-e-ghazal jaana ek farz hai hasti par har pal ki pazirai tarikh ka shewa hai sadiyon ko nigal jaana padti hain pahadon par suraj ki shuaen jab mushkil kahan rahta hai phir barf pighal jaana kirdar ada karna har shakhs ko padta hai aasan nahin qaumon ki taqdir badal jaana 'jawed' zaruri hai duniya mein andhera bhi hai maslahat-e-yazdan ye sham ka dhal jaana